Nahi tha apna MizaaJ Aisa
Ke Zarf kho kar Anaa Bachatay
Wagarna Aisay Jawab Detay
k phir Na Paida Sawal Hotay
Humari Fitrat ko Janta hai
Tabhi to Dushman ye keh raha hai
Hai Dushmani Mein bhi zarf Aisa
Jo Dost Hotay Kamaal Hotay
Jo Aa k Tum Haal Poch Letay
T0 Itni Lambi Na Umr Lagti
K Wasl ki Ek Ghari Mein Saray
Guzar gaye Maah o Saal Hotay
Usay Mubarik Maqaam Ouncha
Sahi Haqeeqat Humein Pata hai
Banatay Rishton ki hum bhi Seerhi
To Aasmaan ki Misaal h0tay