Monday, 17 October 2011

Tum Tu Shayid Bhol Gaye

Tum tu shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo bheegi barsat ki shamain
Wo sath bitayi chandni ratain

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera mera hath thamna
Wo mera tujhy dekh k muskurana

Tum tu shaiyd bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo Tera izhar-e-muhabbat
Wo Mera iqrar-e-rafaqat

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo pehli ajab mulakat
Wo Khamosh labon ki unkahi bat

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo achanak tera mujhy chor dena
Wo merey dard ki shidat ka barh jana

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera wapis na any ka ahed
Wo mera tera intezar kerny ka paiman

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera mujhy tanhai ka musafir bana dena
Wo mera vasl ki yadon se muhabbat ker lena

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera inkar muhabbat se kerna
Wo mera talash-e-ishq-e-gumshuda kerna

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay

Did you like "Tum Tu Shayid Bhol Gaye"?