Mirza Ghalib
har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?