Wednesday 5 October 2011

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Parveen Shakir Poetry

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Did you like "Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega"?