Sunday, 26 February 2012

Meri ankhen batati hain

Meri ankhen batati hain, k mein sone se darta hoon,
Meri ungli pakar lena, Mujhe tanha nahi karna,
Yah duniya ek mela hai, tumhain khone se darta hoon,
Main hasta hoon to aankhon k goshay bheeg jate hain,
Tumhain maloom hai main is tarha rone se darta hoon,
Jab se khuwab dekha hai Mujhe tum chor jao gay,
Main darta hoon khuwabon se Main ab sone se darta hoon...

ღ~••••♥●●♥════════◄Meri ankhen batati hain►════════♥●●♥••••~ღ
 

Koi Hai Jo Mujhe Mera Nahin Rahne Deta

Cheen Kar Mere Shab o Roz Liye Jata Hai
Koi Hai Jo Mujhe Mera Nahin Rahne Deta
ღ~••••♥●●♥════════◄Koi hai►════════♥●●♥••••~ღ


Woh Rishta

" ♥___________ Wo Rishta ___________♥ "

Hujoom-E-Zindagi Mein Har Haath, Saath Choor Jaata Hai....... !
Thama Rehta Hai Woh Rishta, Jo DIL Jood Jaata Hai....... !

" ♥___________ Wo Rishta ___________♥ "

Ajab pagal si larki hai

Ajab pagal si larki hai
mujhey har roz kehti hai
batao kuch naya likha..??
main jub bhi us sey kehta hun
k haan ek nazam likhi hai
magar unwan dena hai
bohat bechain hoti hai
wo kehti hai,
sunao,main usey acha sa ek unwan deti hun
wo meri nazam sunti hai
aur uski bolti aankhen
kisi misrey,kisi tashbeeh per yuun muskurati hain
mujhy lafzon sey kirnen phot'ti mehsoos hoti hain
wo meri nazam ko acha sa ek unwan deti hai
aur uske aakhiri misrey k neechey
ek aaday-e-bey niyazi sey
wo apna naam likhti hai
main kehta hun..!!
suno ! ye nazam meri hai
tou phir tum ney kyun apney naam sey mansob kar li hai
meri ye baat sun ker uski aankhen muskurati hain
wo kehti hai
bara saada sa rishta hai
k jesey tum merey ho us tarah ye nazam meri hai
ajab pagal si larki hai.................
" ♥___________ Ajab pagal si larki hai ___________♥ "

Wabasta Hai Meri Zaat

Wabasta Hai Meri Zaat Uski Yadoon Sy Es Galib. . .
Yaad Na Karoon To Raat Nahi Dhalti,
Yaad Karloon To Aankh Nahi Lagti . . . !!

ღ~••••♥●●♥════════◄Tera Sath►════════♥●●♥••••~ღ

Zara Si To Umar Hai Meri

Khuwab, Khayal, Haqeeqat, Yaqeen, Gham Aur Khushiyaan . . .
Zara Si To Umar Hai Meri, Bhala Kis Kis K Saath Guzaronga . . . !!
ღ~••••♥●●♥════════◄Tera Sath►════════♥●●♥••••~ღ

Friday, 17 February 2012

Zindagi raqs karti thi kabhi

Zindagi raqs karti thi kabhi...
Ab tou chup chaap pari hai mujh mein .

Tu wohi hai ya koi aur hai…..?

Tujhay fikar hai k badal dia mujhay gardish e shab o roz ne….!
Kabhi khud se bhi to sawaal kar tou wohi hai ya koi aur hai…..?

wo tou bekasoor tha

Us k chehre par is qadar Noor tha,
K uski yaad main roona b manzoor tha,
Bewafa b nahi keh sakte usko...??
Piyaar tou humne kiya hai wo tou bekasoor tha... <3

Duniya se chhenn loo'n

TaQat nahi hai mujh mein k usey main Duniya se chhenn loo'n
Lakin mere DIL se usey koi nikaale , kisi mein itni himat nahi''