Sunday 26 February 2012

So baar kaha itni mohabbat nahin achi

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar

So baar kaha itni mohabbat nahin achi
So baar kaha itna bharosa na kiya kar

Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay
Ae DOST meray, meri tamanna na kiya kar

Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana
Tu MUJH ko kisi pal bhi elehda na kiya kar

Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar?!

ღ~••••♥●●♥════◄So baar kaha itni mohabbat nahin achi►════♥●●♥••••~ღ

Did you like "So baar kaha itni mohabbat nahin achi"?