Thursday 27 October 2011

Koi Mila Hi Nahi

Koi Mila Hi Nahi

Dil ki Baat

Dil Ki baat

Wednesday 26 October 2011

Gunnah

Gunnah

Andaze Mohabat

Andaze Mohabat

I Waited

I Waited

Judai

Judai

Ab Kis se Kahain

Ab Kis se Kahain


Thursday 20 October 2011

Bichartey Lamhe

Sad Poetry

Leave Me Alone

leave Me ALone

Need A Friend

Need A Friend

Yaad

Sad Poetry

Mojhe Dariya

Sad Poetry

Do Kinare

Sad Poetry

Dil Bhi....

Sad Poetry

Hum Ne Tu

Sad Poetry

Meri raatain

Sad Poetry

Tuesday 18 October 2011

Saath


Kitnii der tak
amaltas ke peR ke niiche
baith ke ham ne baateN kiiN
kuch yaad nahiiN
bas itnaa andaazaa hai
chaaNd hamaarii pusht se hokar
aaNkhoN tak aa pahuuNchaa

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte
terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte
(masruufiyateN : engagements)
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte
(shams-o-qamar : Sun and the Moon)
vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte
(shajar : tree)
Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar (?) ke zarre ko gauhar kyaa karte
(Khaak : dust; avval-o-aaKhir : in the beginning and the end; zarre : particles; gauhar : jewels)
raaye pehle se hii banaa lii tuune
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte
ishq ne saare saliiqe bakhshe
husn se kasb-e-hunar kyaa karte

chalne kaa hauslaa nahiiN

chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa
milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii
usne magar bichhaRte vaqt aur savaal kar diyaa
ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii
ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa
ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal (?) kar diyaa
mumkinaa faisloN meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa
hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa
(mumkinaa : possible)
mere laboN meN muhr thii par mere shiisha-ruu ne to
shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa
chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa
muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa

GuuNj

uuNche pahaaRoN meN gum hotii
pag-danDii par
khaRaa hu’aa nanhaa charvaahaa
bakrii ke bachche ko phisaltaa dekh ke
kuch is tarah haNsaa
vaadii kii har darz se
jharne phuuT rahe haiN

Majbuurii

HavaayeN
dastakoN meN meraa naam le rahii haiN
maiN kivaaR kaise kholuuN
mere donoN haath
pusht kii taraf baNdhe hu’e haiN

Rahnuma

Rah ki mushklu ka khaof nahi, 
niat e rehnuma sy darty hen 
 

Shikayat na karey

Mera ho woh jo ankhon mai haya rakhta ho 
sath chalne ka azme wafa rakhta ho 
naaz uske na uthaon to shikayat na kare
har dukh seh k hansne ki ada rakhta ho..


Wo yun muskuraya Poetry -> Smile

wo yuN muskuraya mUjhy deh kar k mosam badal gaya
.......................dost.........................................
main wahin khari rahi per  mera rasta nikal gaya...
 

Kaha bhi nahi jaata


kehna bhi chahein tu kaha nehi jaata
dard dil ka tu ab saha nehi jaata
ishq ke bunwar mein phunse hein asey
ke dhooba bhe nehi jata taira bhe nehi jaata


Monday 17 October 2011

Lazzaton Ka Azaab

Na husn e shabab baqi hai.
Na zore shabab baqi hai.
Lazzaten sari Khatam hogayi hai Amjad.
Lazzaton ka azaab baqi hai.

Ek lamhe ka bicharna b gavara na tha

Sath rota tha mere sath hansa krta tha, wo shakhs mere dil me ese bsa krta tha.
Ek lmhe ka bichadna b gvara na tha use, rote hue mjhe khud se juda krta tha,
Rog dil ko laga betha anjane me wo, mere sath umar bitane ki dua krta tha,

Hijr ka khumaar

Kehtay Hain Log k Main Nashay main Rahta hoon har dam
Masoom hain Jaantay Nahin K Ye Khumaar Teray Hijr ka Ha..!! 

Dard kya hota hai tanhai kisay kehte hain

Abb jo bichrain hain to ehsaas hua hai humko,
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain,
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain,
Abb to khud ko b muyassar nahi aa patay hain,
Raat ho din ho teray pyaar mai hum behtay hain,
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Bohat Din ho Gaye Shayed

Bohat din ho gaye shayed sahara ker liya uss ne,
Humaray baad b aakhir guzara ker liya us ne
 Humara zikr to uss k labon pr aa nahi skta,
Humain ehsaas hai hum se kinara ker liya us ne

Zindagi Ka Saaz

Siskiyon Ki Taal Pr Hain Aarzoain Mehv E Raqs..
Kis Kadar Hay Sooz Meri Zindgi K Saaz May..!!

Tere Begair

Guzar hi jaye gi tere bagair bhi lekin
buhat udas buhat be qarar guzry gi…….

2 Gazz Kafan

Zindagi mein log dukh k siwa de bhi kya saktey hein
Marney ke baad do gazz kafan detey hein wo b ro ro k. 

Mera Aina Salamat Hai To Phir

Rezah rezah hai mera aks to hairat yeh hai
Mohsin
mera ayena salaamat hai, tou phr toota kiya hai…?? 

Mein Bhi Zameendar Hogaya

Baithe Baithe Gham Me Giraftar Hogaya Gosha Nasheen Tha Hogaya
Do Gazz Zameen Mil Hi Gayi Mujh Gharib Ko Marne K Baad Mein Bhi Zameendar Hogya. 

Woh Sab Say Alag Thi

Milay To Hazroo Log Thay Zindagi Mein . . . .
Per Woh Sab Sy Alag Thi Jo Qismat Mein Nahi Thi . . . !!

Koi Yad Be Usko Yad Nahi

Koi yad be usko yad nai
koi bat be usko yad nahi

Ek shaks ne usko chaha tha
wo zat be usko yad nahi

Jab shab ki bejli ke chamki the
Jab badal toot kar barsa thaa

Hum dono jis main behge the
wo barsat be usko yad nahi

Wo kehta tha main sunta tha
wo kehta tha main sunta tha

un lahko bato main
koi bat be usko yad nahi

wo sahil dareya phol hawa
wo shab bhar chand ko dehkna

un lahko rato main
koi Rat be usko yad nahi

koi yad be usko yad nahi
koi bat be usko yad nahi

Tum Tu Shayid Bhol Gaye

Tum tu shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo bheegi barsat ki shamain
Wo sath bitayi chandni ratain

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera mera hath thamna
Wo mera tujhy dekh k muskurana

Tum tu shaiyd bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo Tera izhar-e-muhabbat
Wo Mera iqrar-e-rafaqat

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo pehli ajab mulakat
Wo Khamosh labon ki unkahi bat

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo achanak tera mujhy chor dena
Wo merey dard ki shidat ka barh jana

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera wapis na any ka ahed
Wo mera tera intezar kerny ka paiman

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera mujhy tanhai ka musafir bana dena
Wo mera vasl ki yadon se muhabbat ker lena

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay
Wo tera inkar muhabbat se kerna
Wo mera talash-e-ishq-e-gumshuda kerna

Tum tou shayid bhol gaye
Magar mujhy aj bhi yad hay

Ab Jo Bichre Hen To

jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Koi lamha ho teri yad min kho jate hen.
Ab to khud ko bhi mayasar nhi a pate hen.

Rat ho din ho tere pyar min hum behte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Jo bhi gham aye use dil pe saha karte the.
Aik wo waqt tha hum mil k raha karte the.

Ab akele hi zamane k sitam sehte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Hum ne khud hi apne raste min bichae kante.

Ghar min phoolon ki jaga la k sajae kante.
Zakham is dil min basae hoe khud rehte hen.

Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Yon to dunya ki har aik cheez haseen hoti he.
Pyar se barh kar magar kuch bhi nhi hoti he.

Rasta rok k har aik se yehi kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to…………………………………


Zindagi Akeli He

Dil min phool khilte the, jaltarang bajte the.
Zindagi mehkti thi, khuwab rang sajte the.

Sahil samandar par koi sath chalta tha !
Khushbuen nahata tha, chaandni min jalta tha.

Gili gili tehreeren rait par ubharti thin .
Door kuch parindon ki toliyan guzarti thin.

Hamsafar bhi apna tha, raaste bhi apne the.
Bheegi bheegi ankhon min kuch haseen sapne the.

Hum ne jo basaya tha, dil nagar adhura he.
Kia khabar thi qurbat ka ye safar adhura he.

Aaine ki bahon min, dard ki panahon min.
Dil zada musafir he be nishan raahon min.

Dubta hoa suraj rait ka gharunda he.
Sham k dhund lake min phir koi akela he.

Arsa tamanna min, dharkanon ki dunya min.
Khawahishon k jungle min, tashnagi k sehra min.

ZINDAGI AKELI HE APNE BAAL BIKHRAE.

ZINDAGI BHATAKTI HE KHALI HATH PHELAE.


Sari Dunya K Rawajon Se...................

Sari dunya k rawajon se adawat ki thi.
Tum ko yad he jab min ne ik hamaqat ki thi.

Use raazdan smajh kar bataya tha haal e dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.

Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Min ne ik nam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.

Us ko chor k hanste hoe ghar a k.
Itna roye the k ankhon ne qayamat ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Min ne bas itna btaya k min ne un se muhabat ki thi.



Judai Se Mara Wo Bhi Nhi

Judai se mara wo bhi nhi min bhi nhi.
Dono insan hen khuda wo bhi nhi min bhi nhi.

Wo mujhe or min use ilzam dete hen magar.
Apne andar jhankta wo bhi nhi min bhi nhi.

Zamane ne kar diya dono min peda ikhtlaaf.
Warna fitrat ka bura wo bhi nhi min bhi nhi.

Mukhtalif simton min dono ka safar jari raha.
Aik lamhe ko ruka wo bhi nhi min bhi.

Chahte dono bht hen aik dusre ko magar.
Ye haqiqat manta wo bhi nhi min bhi nhi.

Pathar Tha Magr...

Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.

Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.

Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.

Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.

Wo rooh min khushbu ki trah ho gya tehleel.
Jo door bht chand k haalon ki trah tha.

Qasam Khai Hai

Mei ne maazi ko bhulane ke qasam khaae hai

Koi aansu na bahane ke qasam khaae hai

Koi apna ho maseeha ho ke anjaana ho

Dil kisse se na lagane ke qasam khaae hai

Khaana-e-dil ke har aik cheez hai reza reza

Ab koi ghar na sajane ke qasam khaae hai

Mei ne barsoon bare mehnat se tarasha tha jise

Uska har aks mitane ke qasam khaee hai

JAANE WALE KO BHULANE KE QASAM KHAEE HAI...

Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi
Deewane Dil Ko Samjhana, Mushkil Hai Asaan Nahi

Har Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta Hai
Jab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta Hai

Jaate Lumho Ka Ruk Jana Mushkil Hai, Asaan Nahi

Jhukti Aankhein, Rukti Sansein, Dard Adhura Kehti Hain
Dil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke ander Rehti Hain

Dil Ki Baat, Zubaan Par Lana Mushkil Hai, Asaan Nahi
Jo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho, Phir Bhi Kyun Ye Doori Hai?

Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Paate, Ye Kaisi Majboori Hai?
Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai, Asaan Nahi…..

Apna Ghar

Wo aaye ghar mein hamaare Khudaa kii qudrat hai
kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hain 

Thursday 13 October 2011

Dil karta hai k lipat jaon

* DiL karta hai k Lipat jaon ROOH ban kar Tere Jisam se.....

* K jab Tum se Juda hon to Teri JAAN hi Nikal jaye....... 

Agosh e muhbat mein

Ay raat tum to Agosh_e_Muhbat mein so jaya kro ........

hamain to Aadat hai sitaron ki rakhwali ki .... 

Pal Bhar Main

Subha K Takht Nasheen Shaam Ko Mujrim Thehray...!

Hum Ney Pal Bhar Main Naseebo'n Ko Badaltey Daikha.

Saturday 8 October 2011

Raat Bhar

Raat bhar

a ki meri jan mein qarar nahi hai

Mirza Ghalib

a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai

dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai

giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai

ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai

tu ne qasam maikashi ki khai hai ?Ghalib?
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai

Unka Milna

Mirza Ghalib

jab se dekhi hai hamne duniya kareeb se Ghalib
lagne lage hai saare rishte ajeeb se

Itni Mulaqat Bohot Hay

Mirza Ghalib

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hay

Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hai

Bohat bayabroo ho kar

Mirza Ghalib

Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay

Tere Chehre Par

Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote……
Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote…..
Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote…..
Chand to tu hai hi ..sitaare bhee saath hote !!!

Ishq Toa Raah Hai

Iss raah mein bahut saathi mil jayenge
Waqt ke saath shayd who bhi choot jayenge
Bass karma ik khayal
Kissi khoobsurat saathi pe Yeh dil na kurbaan kar dena
Ishq toa raah hai, Aye Musafir
Ise manzil na samajh lena.

Tanhahiya

Tanhaaiya gungunane lagi
Har saans tumhara naam leti rahi
Har waqt tera intezaar karti hai
Aur tum naa aaye mere jeevan mein phir kabhi.
aur phir kya hoona tha bus sainsse wahi par tham gayi!!!

Aaj Kal

Apne bhi dil se nahin bolta koi aaj kal,
Pyar ko bhi thukrata hai har koi aaj kal,
Kisiko bhi kisise juda hone ka gham nahin,
Apno ko bhi bhula deta hai har koi aaj kal

Go haath mai janbish nahi

Mirza Ghalib

Go haath mai junbish nahi, aankho mai to dam hai
rehne do abhi saaghar-o-miina MERE aagay