Wednesday 5 October 2011

Dil se Utar Ja

Ahmad Faraz Poetry

Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!

Did you like "Dil se Utar Ja"?